Forgot your password?
Sign Up
Aditi Sharma
6 hours ago
Follow
Become a Subscriber
Send tip
Gift a Frame
Welcome to FanFolo!
Sign up to make money and discover exlusively the contents of your favouret stars!
Suggested Creators
Boosted Post
Aditi Sharma
Offline
Instagramer- @Aditi - 7 hours ago
Copy Post URL
Open in a new tab
Aaj tujh se jab ladai hui to socha teri khushi ke liye tujhe hi chhod deta hoon...
Yun roz roz rulane se to acha hai tujhe ek baar jee bhar ke rula deta hoon...
Kitni ajeeb baat hai na...
Jab tu mere paas thi to har dum yeh sochta tha ki kya main teri kadar nahi karta...
Aur aaj jab tu mere paas nahi hai to yeh ehsaas hota hai ki qadar to hamesha se hi thi,
par tujhe na khone ke yakeen ne andhaa kar diya tha...
Bhala kya pata tha aisa bhi kuch ho sakta hai...
Mera tujhse alag hona itna hi namumkin tha jitna tera mujhse nafrat karna...

Khada hoon thand mein...
Aankhon mein wo teri ek dimple wali pyari si hansi...
Haath mein teri ek tasveer hai jo aajkal teri WhatsApp ki DP bhi hai,
woh meri sabse pyari sona hai... Jise dekh kar har dum main tere chehre pe dimple aur
teri aankhon pe chashma aur tere aane wale baal tere kaanon ke peeche laga deta hoon...
Tujhe bahut tang karta hoon na...

Mobile mein tera naam daal ke rakha hai "Sona"
Use dekh ke khush ho jata hoon... Aur jab aas paas koi nahi hota toh mann behlane ke liye
do chaar baatein bhi kar leta hoon...
Tere jawab to mujhe pata hi hote hain na...

Yaad aate hain woh pal, woh kisse kahaniyaan, jo roz raat tum sunati thi...
Aur haule se "jaan, so gaye kya?" pooch kar ek goodnight kiss de jati thi...
Tum sulati thi to so jata tha... Ab tum nahi sulati toh aisa lagta hai meri neend hi so gayi hai...
Woh meri pyari si bacchi bheed mein kahin kho gayi hai...
Jab bhi teri yaad aati hai... toh apne takiye ko bahut zor se hug kar leta hoon...
Magar yeh to mujhe wapas gale hi nahi lagata... Dekhna isko... daant de...
Bolna isey tang na kare... Bolna...

Gaane nahi sunta hoon main ab...
Na sunn pata hoon apna hi gham...
Har cheez se tu judi hai... Har cheez mein tu basi hai...
Yaad aati hai woh gali, woh ghar, woh dukaan mujhe... jahan main aaya karta tha...
Gali toh ab bhi wahin hai... Dukaan bhi wahin hai, bas tu kahin nahi hai...
Mere liye ab us gali mein aane ki koi wajah nahi hai...
Abhi abhi toh raah mili thi ki manzil hi mood gayi kahin...
I MISS YOU... LOVE YOU SO MUCH...
Rota hoon... Bilakhta hoon... Har dum girta padta hoon...
Koi nahi hai poochhne wala... Koi nahi hai puchhta,
"Jaan, jayeda to nahi lagi na? Aao, kissi kar doon... Ab sab sahi ho jayega"

Kaun mujhe roz roz breakfast ki yaad dilayega...
Kaun mujhe ulti sidhi harkatein karne se warn karega...
Kaun mujhe romantic songs raat bhar sunayega...
Kaun phone pe itni zor zor se chillayega...
Kaun mujhe anjano se baat karne se rokega...
Kaun baat baat par tokega...
Kaun mere ek phone ke liye din bhar wait karega...
Kaun banega baccha mera... Kisko pyar karunga...
Kiski bahut hifazat karunga... Bahut laad karunga main...
Cheen leti apne aap ko... Kyun cheen li mujhse woh meri bacchi...?
Bahut maasoom hai woh... Akal se thodi kachhi hai...

Khush rakhna isey aye mere khuda... Tere aansu kabhi na ho teri aankhon se juda...
Mere aansu jhoothe lagte hain toh nahi sunegi ab tu meri siskiyaan...

Yeh meri kasam... is dard ko dabaa lunga mein...
In aansuon ko chupa lunga main...
In yaadon ki aag ko ashkon se bujha lunga mein...
Leta hoon ab ek aakhri alvida tujhse...
Karta hoon ab is chhoti si kahani ka pyara sa ant like a happy ending...
Khush rehna tu hamesha...
Khushiyan mile tujhe anant...
Ja, teri nazron se ab maine mooh mod liya...
Teri khushi ke liye ab maine tujhe hi chhod diya...
Aditi Sharma
Offline
Instagramer- @Aditi - 6 hours ago
Copy Post URL
Open in a new tab
@Aruna

Instagramer- @Aditi - 20 hours ago